Sunday, July 29, 2012

Kismat

Kismat walon ko milta hai pyar kay badlay pyar
hum ko pholoon ko badlay kantoon kay haar

kitnay jatan kiyay mainay paas rehkay
pyar mera phir mujh say door tha
itna bataday mujh ko zalim zamanay
is main mera kiya kusoor tha
jeete taqdeer hui aaj mairee haar
kismat walon ko milta hai pyar kay badlay pyar

sada khush rahay to yehi daiti hain duaein
tujh ko mairee bayzabaniyan
aaj majboor hokay chorh chala hoon
yadoo ki teri nishaniaan
laykay chala aankhoon main aansoon ki dhar
kismat walon ko milta hai pyar kay badlay pyar

                                                                          -Zafar Iqbal

No comments:

Post a Comment